Dada Dadi Paheliyan Riddles
If you were bron in 1980s-1990s your grand parents might had asked you these riddles. Paheli.fun brings you the great collection of sabse purani se purani bahut majedar Dada Dadi Nana Nani Ki Dimagi Bachon Ki Paheliyan and poem paheli in urdu / hindi with answers.
These riddles are for kids in urdu with answers. For answer just click on "Show Answer" option. Lets see how many brain teasers you can answer.
Khud hilay dosoron ko hilaye
Iska Hilna Man ko Bhaye
See Answer
Fan, Phankha
Aik ustad asia kehlaye
Ap na bolay Sabaq perhaye
See Answer
Book
Aik ghar kay hain do larkay
Roz Dikhatay Hain Khel
Kabhi na unko lartay dekha
Aisa hai unka mail
See Answer
Suraj Chand
Kalay jin ke kali maasi
Who hai sab ke khoon ke piyasi
See Answer
Joon (lice)
Bili safaid ek mene dekhi Baithi the gum sum
Jisam tha uska sara gora Hari the uski dum
See Answer
Joon (lice)
Aba jan ek dabba laye
Kuch na piye kuch na khaye
Kaan maroro foran bolay
Dunya Bhar ke sair keraye
See Answer
Radio
Gori hai ya kali hai
Chup kar rehnay wali hai
Jab bhe ye pakri jati hai
Apni jan gawati hai
See Answer
Joon Lice
Aik cheez hai kamal
Dalo sabaz, nikalo lal
See Answer
Paaan
Mein gaye lay nay Wo lagi day nay Wo agar na deti Tou mein lay aati
See Answer
Jharo
Aik aisay parinday ka naam batayen, Jis ka naam ulta likhnay se aik shehar ka naam banta hai.
See Answer
More (ROME)
Dhoop usay kabhi una sukhaye
Sokhay tab, jab wo saaye mein jaye
See Answer
Passina (Sweat)
Ji Friends, are you ready to test your mind on this riddle? Paheli ye hai.. " Pani se bhara sheeshay ka gola, Lo mein chala, atay hi bola. Sochen aur apna jawab comments section mein post karen.
See Answer
Pani ka Bulbula
Mera Paon, Uska Pait. Qadmoon mein jata hai Lait? Sochen aur apna jawab comments section mein post karen.
See Answer
Shoes (JOOTA)
Pahar ke andar se aaye
Ghar mein akar ghull mill jaye
See Answer
Namak (Pink Salt)
Us ne sab ke kaam sanware
Warna hotay budho saray
See Answer
Aqal / Dimagh / Brain
Khencho mujhay tum jitna
Chota hi hota jaon
Bujho tou mera naam
Ya khud hi naam bataon.
See Answer
Cigarette / Cigar
Paraday mein wo chup kar aya
Parday ko Jab Rukh se hataya
Munh se tou wo kuch na Bola
Likhi hoi har bat ko khola
See Answer
Khat (Letter)
Moti sachay thay ya jhotay
Hath ke lagtay he sab totay
See Answer
Shabnam ke Qatray (Dew Drops)
Kala Jab Bhi Tao Khaye, Dekho Uske Kaam
Sir Par Gori Ko Nachaye Subha Dopaher Aur Sham
See Answer
Roti wala Tawa
1 Comments
This comment has been removed by the author.
ReplyDelete