Jungle Riddles Paheliyan Urdu Hindi

Jungle Paheliyan Urdu Hindi

Welcome to Jungle wali Paheliyan episode. Detective Salman Amazon ke Jungle mein sair karnay jatay hain tou wahan kuch jungli unko pakar letay hain. Jungli Deg mein pani daal kar agg par paknay ke liye rakh detay hain. Detective salman samajh jatay hain ke ye jungli unhen paka kar khanay walay hain. Detective salman apni jeb se phone nikalty hain ta ke kisi ko call kar ke maddad ke liye bula saken. (Also try this jungle riddles and answers )

jungle paheliyan urdu hindi

Laykin un ke phone mein na tou Network signal hotay hain aur na hi Battery. Detective salman phone jeb mein rakhtay hain aur asman ki taraf hath utha kar hilana shuru kar detay hain. Jesay hi wo ye kaam kartay hain asman par andhera chana shuru hojata hai. 

Jungli ye sab dekh kar dar jatay hain aur bhaag jatay hain. Paheli ki Duniya Family kya ap bata saktay hain ke Detective Salman ne ye sab kaisay kiya?

Jungle ki Paheliyan

  • Riddle 1:  Jungli Detective Salman se dar kar kyun bhagay?
  • Riddle 2: Konsi path chota hai A ya B ?
  • Riddle 3 : Police walay ke card ka kya matlab hai ?

Post a Comment

0 Comments