First time in the history of internet. This page has all riddles (Paheliyan) in Urdu Hindi Hindi.
New Mind Riddles in Urdu
Ye kafi tricky mind boost paheli hai.Agar zameen mein aik soorakh karnay mein adha ghanta lagta ho, tou adha soorakh karnay mein kitna waqat lagay ga?Paheli ka English version ye hai. Hint ye hai is riddle ki. It's not a mathematical riddle it is a mind riddle.If it takes half an hour to dig a hole how long will it take to dig half a hole?
Show Answer
Adha Sorakh Nahi hota
Show Answer
20 Rs. ka note sath rakh kar
Woh kya cheez hai jis mein se bohat saray soorakh honay ke bawajood bhi pani nahi girta.Mere khayal se is phali ka jawab badal (Clouds) hai. Ap kya kehtay hain? Comments mein batayen.
Show Answer
Sponge
Angrezi zuban ka wo konsa lafaz hai jisay agar aik kaghaz par likh kar khagaz ko ulta kerdiya jaye tou tab bhi wo waisa hi nazar ata hai ?English ke guru aa jaye meedan mein jawab denay ke liye.
Show Answer
SWIMS
2023 ki new double meaning riddle hai ye. Woh kya kam hai jis mein Mard (Man) Aurat (Woman) ki nisbat jaldi thak jata hai?Socho socho is paheli ka jawab, aisa konsa kam ho sakta hai. Wese male ka stamina tou zayada hota hai laykin pher bhi jali thak jata hai ?
Show Answer
Shopping
Woh kya cheez hai jo duniya ka har insan subah neend se jagnay se pehlay kerta hai? Bohat hi easy urdu paheli hai. Po*ty nahi hain jawab.
Show Answer
Apni Ankhen Kholta hai.
Show Answer
On your Lap
Aik admi aik ankh se 2 kilometer door tak dekh sakta hai. tou batayen ke 2 ankhon se wo kitna door dekhay ga? Is paheli ke title mein hi iska jawab chupa hai. Wese kehtay hain Common sense is not so common :p .
Show Answer
2 anhko se bhi 2 kilo meter hi dekha ja sakta hai
Sunday, Monday aur Tuesday bhai hai tou batayen un ke abu ka kya naam hai ? Ab ap soch rahay hon gay ke Sunday, Monday aur Tuesday bhai kese ho saktay hain? Bhaiya farz kerlo na. Paheliyan sari farzi hi tou hoti hain.
Show Answer
DAY
Puranay zamanay mein logon ne aisi kya cheez ijad (invent) ki thi jis ke zariye wo deewar ke aar par dekh saktay thay? English chacha is brain teaser ko yun bayan kartay hain - There is an ancient invention still used in some parts of the world today that allows people to see through walls.What is it?.
Show Answer
Sorakh - Hole / Window
English ka wo konsa lafz hai jis left, right, seedha ya ulta ker ke parehn tou bhi wohi lafz rehta hai? Wese tension ki bat nhi this riddle is with answer.
Show Answer
Noon
Agar aik jagah par 4 sheep, 2 dogs aur aik Admi mojod hon tou wahan par total kitnay paon mojod hain? Waha bhae wah kya Riddle. Urdu Hindi samajhnay walon ka sahi imethan aur brain test hai. Chalo bhaiya calculate ker lety hain. 4 matlab 16 paon (4x4). 2 dogs matlab 8 paon (2 x 4) aur aik admi matlab 2 paon . Tou is terhan 16+8+2= 26. Bhai 26 paon hogaye. Bohat hi asan Paheli thi. Jabwab tou calculate kerliya, laykin ye nhi pata ke ghalat ya sahi. Khair bhai ap jaon "Show Answer" par click kar ke javab dekho.
Show Answer
Only 2. Kynki Sheep ke Khur hotay hain aur Dog ke panjay. Sirf insan ke paon hotay hain.
Wo konsa lafz hai jo bohat hi khatrnak ( dangerous ) hai. Uff bohat dar lag raha hai paheli parh kar, itni khatarnak paheli :D
Show Answer
Lafz Khatarnak hi Bohat Khatarnak hota hai
Ye bachon ke liye aik interesting paheli hai. Phal par patay hain, aur paton par phool hai. Batayen konsa phal hai ?
Show Answer
Lafz Khatarnak hi Bohat Khatarnak hota hai
0 Comments